Thursday 13 November 2014

Beautiful Quotes In Urdu Urdu Quotes In English Images About Life For Facebook On Love On Friendship On Education Pics

Beautiful Quotes In Urdu Biography

Source(google.com.pk)
Imam Ghazali

Imam Ghazali’s full name is Abu Hamid Muhammad ibn Muhammad al-Ghazali. He was born on 450 hijri in Tous, Taheran, Iran. He got early education in Tous then you went to Jarjan and became the discipleship of Imam Abu Basir Ismail. Then he went to Khorasan Nishapur. There joined the Circle of Teaching of Imam al Haramayn Abul Maali. Up to four hundred students were all brilliant. They age of twenty eight became skills and expert knowledge. In 484 hijri Imam Ghazali became a president of Nizamia Baghdad. Imam Ghazali wrote many books and lot of Quotes. In this page you will read and find information, history and biography of Imam Ghazali in Urdu and Hindi.

History and Biography:

Imam Ghazali ka pora naam Abu Hamid Muhammad ibn Muhammad al-Ghazali hai ap 450 hijri mein Tous ke qasbe Taheran, Iran mein peda howe. Ibtadai taleem Tous mein pai pher ap Jarjan chale gaey aur Imam Abu Basir Ismail ki shagardi ikhtiyar kar li pher Khorasan Nishapur pohanch gae wahan Imam al Haramayn Abul Maali ke halqa dars mein shamil ho gae. 400 talba (students) mein ap sab se zahin thein jald he elm-ul-kalam aur falsafa mein maharat hasil kar li aur Imam al Harmayn ki wafat (death) ke baad Khawaja Nizam ul Mulk Tusi ki bar-gah se munsalik ho gae.

28 saal ki umer (age) mein mahir aloom-o-fanon ban gae they. 484 hijri mein Imam Ghazali Nizamia Baghdad ke sadar madras ban gae. 484 hijri mein Baghdad mein es shan se dakhil howe ke pore aalam-e-Islam mein in ke pae ka dosra aalim mojod na tha.

Imam Ghazali 488 hijri tak Nizamia Baghdad ke sadar madras rahe. Bohat se ulma-o-fazla ne in se istafada kiya. 478 Hijri mein Khalifa Mustazhari ki farmaesh per firqa batanya ke rad mein “Al-Muztazhari” tehreer ki magar zindagi ki 39b saal (year) pore hone ke baad ap ne zindagi ke aik nay dor ka aghaz kiya aur jah-o-jalal chhor kar khamoshi se aik kambal (blanket) urh kar bagher ksi ko kuch batay seyahat per nikal gae aur aik saal (one year) ka arsa Sham, Baitul Muqaddas aur Hejaz ka safar kiya aur giyara saal (11 years) baad 499 Hijri mein Nishapur wapas aey es doran ki qalbi kefiyat ko Imam Ghazali ne apni kitab “al-munqidh manal zalal” mein tehreer kar diya hai ke kis tarha ap ne taqleed ki bandishon se apne ap ko azad kiya aur tehqiq ki rawish se aur gour-o-khos se khoob mutala (study) kar ke Islam ko ikhtiyar kiya aur es ke baad awam ki rah-numai ke liye kitabein (books) tehreer kien.

Ahya-ul-Uloom Imam Ghazali ne esi giyara saal (11 years) ke arse mein Arbi mein tehreer ki jo aik Islam ki imaniyat abadat mamlat manjiyat-o-mohlikat ke bare mein tafseel se bayan karti hai. Ye book 4 jildon mein hai es ka khulasa Imam sahib ne khud he kimyae sadat ke naam se aik jild mein Farsi mein tehreer kiya

Allama Shibli Nomani ne Al-Ghazali mein ap aur ap ki tasaneef ke bare mein tafseel se bayan kiya hai ap ne philosopher ke rad mein kai kitabein likhein Ibne-e-Rushd aur Ibn-e-Sina ke safa aghlat ko wazah kiya aur tehqeq-o-taleem ki hosla afzai ki.

Wafat (Death):

Imam Ghazali ki zindagi ka aakhri dor zehad o ibadat mein guzra aur ap ne 504 Hijri mein intaqal kiya, ap Taheran mein peda howe aur wahin wafat pai.

Imam Ghazali’s Books:

• The Incoherence of the Philosophers
• The alchemy of happiness
• On disciplining the soul
• On the Ninety-nine Beautiful Names of God
• Worship in Islam
• Al-Ghazali on Invocations and Supplications
• The Precious Pearl

Quotes of Imam Ghazali in Urdu:

• 3 cheezein insane ko tabah kar deti hein, Hars, hasad aur gharor.
• Woh elm-o-fazal sahib-e-elm ke liye wabal hai jo ataet-e-khuda aur etba Rasul Salal-laho wa-alehi wasalam ke siwa koi aur samra-o-natija peda kare.
• Insane ka sab se bara karnama yeh hai ke woh apne dil aur zuban ko qabo mein rake.
• Takaluf ki zadti mohabbat ki kami ka baes hai.
• Aurat mein aik kamzori hai jis ka elaj tahamul hai ese runj dena nahi chahiye balke es ka ranj sehna chahiye.
• Dost jo sirf tumhari achi halat ka dost ho aur aadey waqt kaam na aey es se bachna chahiye kyun ke woh sab se bara dushman hai.
• Maine duya per nazar dali her shakhs ksi na ksi cheez se mohabbat karta hai magar us mehbob cheez ko esi dunya mein chhor kar qabar mein chala jata hai. Maine socha ke main nekiyon aur ache kamon se mohabbat karon take woh qabar mein bhi mere sath jaein aur mujhe akela na chorein.
• Maine Quran mein parha ke jo shakhs apne Rab se dara aur nafs ko khahishat se roka, be-shak janat es ka thekana hai, es liye maine apni nafsiyati khahishat per qabo pa liya.
• Giri hoi cheez ka bagher etla qabze mein kar lena, lotney ki manend hai.
• Namaz mein hazor qalib ki tadbeer yeh hai ke alfaaz ke maini par khayal rakhay.
• Dunya ko dunya ky kamon se talab kar or Allah ka naam Allah ke wastey le.
• Bad-khalqi se dushmani paida hoti hai or dushmani se jafa kari.
• Logo ki naikiyon ko zahir karna chahiye or buraiyon sy chasham poshi lazim hai.

Quotes of Wasif Ali Wasif
November 11, 2012 by Editor 44 Comments
Wasif Ali Wasif was born on 15 January 1929 at District Khushab. He was a teacher, writer, poet and sufi intellectual. He was the regular columnist of Pakistani Urdu daily newspaper Nawa-i-Waqt.  Most of his columns have been combined to form books. He wrote poetry in Urdu and Punjabi languages. Probably no contemporary Urdu writer is more cited in quotations than he is. Later years he used to answer questions in especially arranged gatherings at Lahore attended by the notable community. Some of these sessions were recorded in audio and were later published as Guftgoo (talk) series. His mehfils never had a set subject nor did he lecture on chosen topics. His way was to ask people if they had questions and then he responded to these in his highly original style. His thought was more on mysticism, spirituality and humanity. There are about 40 books to his credit including “Shab Chiragh”, “Kiran Kiran Sooraj”, and “Dil Darya Samundar”. Wasif Ali Wasif was indeed a dervish and sufi and in the final part of his life acted as a murshid to many. Qudratullah Shahab, Ashfaq Ahmed and Hanif Ramay attended his lectures. He died on January 18, 1993. His shrine is located in Lahore at 25 Bahawalpur Road, near Chowk Chauburji.

No comments:

Post a Comment