Urdu Quote Biography
source (google.com.pk)Imam Ghazali’s full name is Abu Hamid Muhammad ibn Muhammad al-Ghazali. He was born on 450 hijri in Tous, Taheran, Iran. He got early education in Tous then you went to Jarjan and became the discipleship of Imam Abu Basir Ismail. Then he went to Khorasan Nishapur. There joined the Circle of Teaching of Imam al Haramayn Abul Maali. Up to four hundred students were all brilliant. They age of twenty eight became skills and expert knowledge. In 484 hijri Imam Ghazali became a president of Nizamia Baghdad. Imam Ghazali wrote many books and lot of Quotes. In this page you will read and find information, history and biography of Imam Ghazali in Urdu and Hindi.
Imam Ghazali ka pora naam Abu Hamid Muhammad ibn Muhammad al-Ghazali hai ap 450 hijri mein Tous ke qasbe Taheran, Iran mein peda howe. Ibtadai taleem Tous mein pai pher ap Jarjan chale gaey aur Imam Abu Basir Ismail ki shagardi ikhtiyar kar li pher Khorasan Nishapur pohanch gae wahan Imam al Haramayn Abul Maali ke halqa dars mein shamil ho gae. 400 talba (students) mein ap sab se zahin thein jald he elm-ul-kalam aur falsafa mein maharat hasil kar li aur Imam al Harmayn ki wafat (death) ke baad Khawaja Nizam ul Mulk Tusi ki bar-gah se munsalik ho gae.
28 saal ki umer (age) mein mahir aloom-o-fanon ban gae they. 484 hijri mein Imam Ghazali Nizamia Baghdad ke sadar madras ban gae. 484 hijri mein Baghdad mein es shan se dakhil howe ke pore aalam-e-Islam mein in ke pae ka dosra aalim mojod na tha.
Imam Ghazali 488 hijri tak Nizamia Baghdad ke sadar madras rahe. Bohat se ulma-o-fazla ne in se istafada kiya. 478 Hijri mein Khalifa Mustazhari ki farmaesh per firqa batanya ke rad mein “Al-Muztazhari” tehreer ki magar zindagi ki 39b saal (year) pore hone ke baad ap ne zindagi ke aik nay dor ka aghaz kiya aur jah-o-jalal chhor kar khamoshi se aik kambal (blanket) urh kar bagher ksi ko kuch batay seyahat per nikal gae aur aik saal (one year) ka arsa Sham, Baitul Muqaddas aur Hejaz ka safar kiya aur giyara saal (11 years) baad 499 Hijri mein Nishapur wapas aey es doran ki qalbi kefiyat ko Imam Ghazali ne apni kitab “al-munqidh manal zalal” mein tehreer kar diya hai ke kis tarha ap ne taqleed ki bandishon se apne ap ko azad kiya aur tehqiq ki rawish se aur gour-o-khos se khoob mutala (study) kar ke Islam ko ikhtiyar kiya aur es ke baad awam ki rah-numai ke liye kitabein (books) tehreer kien.
Ahya-ul-Uloom Imam Ghazali ne esi giyara saal (11 years) ke arse mein Arbi mein tehreer ki jo aik Islam ki imaniyat abadat mamlat manjiyat-o-mohlikat ke bare mein tafseel se bayan karti hai. Ye book 4 jildon mein hai es ka khulasa Imam sahib ne khud he kimyae sadat ke naam se aik jild mein Farsi mein tehreer kiya
Allama Shibli Nomani ne Al-Ghazali mein ap aur ap ki tasaneef ke bare mein tafseel se bayan kiya hai ap ne philosopher ke rad mein kai kitabein likhein Ibne-e-Rushd aur Ibn-e-Sina ke safa aghlat ko wazah kiya aur tehqeq-o-taleem ki hosla afzai ki.
Imam Ghazali ki zindagi ka aakhri dor zehad o ibadat mein guzra aur ap ne 504 Hijri mein intaqal kiya, ap Taheran mein peda howe aur wahin wafat pai.
No comments:
Post a Comment