Urdu Quotes In Hindi Biography
Source(google.com.pk)Imam Ghazali
Imam Ghazali’s full name is Abu Hamid Muhammad ibn Muhammad al-Ghazali. He was born on 450 hijri in Tous, Taheran, Iran. He got early education in Tous then you went to Jarjan and became the discipleship of Imam Abu Basir Ismail. Then he went to Khorasan Nishapur. There joined the Circle of Teaching of Imam al Haramayn Abul Maali. Up to four hundred students were all brilliant. They age of twenty eight became skills and expert knowledge. In 484 hijri Imam Ghazali became a president of Nizamia Baghdad. Imam Ghazali wrote many books and lot of Quotes. In this page you will read and find information, history and biography of Imam Ghazali in Urdu and Hindi.
History and Biography:
Imam Ghazali ka pora naam Abu Hamid Muhammad ibn Muhammad al-Ghazali hai ap 450 hijri mein Tous ke qasbe Taheran, Iran mein peda howe. Ibtadai taleem Tous mein pai pher ap Jarjan chale gaey aur Imam Abu Basir Ismail ki shagardi ikhtiyar kar li pher Khorasan Nishapur pohanch gae wahan Imam al Haramayn Abul Maali ke halqa dars mein shamil ho gae. 400 talba (students) mein ap sab se zahin thein jald he elm-ul-kalam aur falsafa mein maharat hasil kar li aur Imam al Harmayn ki wafat (death) ke baad Khawaja Nizam ul Mulk Tusi ki bar-gah se munsalik ho gae.
28 saal ki umer (age) mein mahir aloom-o-fanon ban gae they. 484 hijri mein Imam Ghazali Nizamia Baghdad ke sadar madras ban gae. 484 hijri mein Baghdad mein es shan se dakhil howe ke pore aalam-e-Islam mein in ke pae ka dosra aalim mojod na tha.
Imam Ghazali 488 hijri tak Nizamia Baghdad ke sadar madras rahe. Bohat se ulma-o-fazla ne in se istafada kiya. 478 Hijri mein Khalifa Mustazhari ki farmaesh per firqa batanya ke rad mein “Al-Muztazhari” tehreer ki magar zindagi ki 39b saal (year) pore hone ke baad ap ne zindagi ke aik nay dor ka aghaz kiya aur jah-o-jalal chhor kar khamoshi se aik kambal (blanket) urh kar bagher ksi ko kuch batay seyahat per nikal gae aur aik saal (one year) ka arsa Sham, Baitul Muqaddas aur Hejaz ka safar kiya aur giyara saal (11 years) baad 499 Hijri mein Nishapur wapas aey es doran ki qalbi kefiyat ko Imam Ghazali ne apni kitab “al-munqidh manal zalal” mein tehreer kar diya hai ke kis tarha ap ne taqleed ki bandishon se apne ap ko azad kiya aur tehqiq ki rawish se aur gour-o-khos se khoob mutala (study) kar ke Islam ko ikhtiyar kiya aur es ke baad awam ki rah-numai ke liye kitabein (books) tehreer kien.
Ahya-ul-Uloom Imam Ghazali ne esi giyara saal (11 years) ke arse mein Arbi mein tehreer ki jo aik Islam ki imaniyat abadat mamlat manjiyat-o-mohlikat ke bare mein tafseel se bayan karti hai. Ye book 4 jildon mein hai es ka khulasa Imam sahib ne khud he kimyae sadat ke naam se aik jild mein Farsi mein tehreer kiya
Allama Shibli Nomani ne Al-Ghazali mein ap aur ap ki tasaneef ke bare mein tafseel se bayan kiya hai ap ne philosopher ke rad mein kai kitabein likhein Ibne-e-Rushd aur Ibn-e-Sina ke safa aghlat ko wazah kiya aur tehqeq-o-taleem ki hosla afzai ki.
Wafat (Death):
Imam Ghazali ki zindagi ka aakhri dor zehad o ibadat mein guzra aur ap ne 504 Hijri mein intaqal kiya, ap Taheran mein peda howe aur wahin wafat pai.
Imam Ghazali’s Books:
• The Incoherence of the Philosophers
• The alchemy of happiness
• On disciplining the soul
• On the Ninety-nine Beautiful Names of God
• Worship in Islam
• Al-Ghazali on Invocations and Supplications
• The Precious Pearl
Quotes of Imam Ghazali in Urdu:
• 3 cheezein insane ko tabah kar deti hein, Hars, hasad aur gharor.
• Woh elm-o-fazal sahib-e-elm ke liye wabal hai jo ataet-e-khuda aur etba Rasul Salal-laho wa-alehi wasalam ke siwa koi aur samra-o-natija peda kare.
• Insane ka sab se bara karnama yeh hai ke woh apne dil aur zuban ko qabo mein rake.
• Takaluf ki zadti mohabbat ki kami ka baes hai.
• Aurat mein aik kamzori hai jis ka elaj tahamul hai ese runj dena nahi chahiye balke es ka ranj sehna chahiye.
• Dost jo sirf tumhari achi halat ka dost ho aur aadey waqt kaam na aey es se bachna chahiye kyun ke woh sab se bara dushman hai.
• Maine duya per nazar dali her shakhs ksi na ksi cheez se mohabbat karta hai magar us mehbob cheez ko esi dunya mein chhor kar qabar mein chala jata hai. Maine socha ke main nekiyon aur ache kamon se mohabbat karon take woh qabar mein bhi mere sath jaein aur mujhe akela na chorein.
• Maine Quran mein parha ke jo shakhs apne Rab se dara aur nafs ko khahishat se roka, be-shak janat es ka thekana hai, es liye maine apni nafsiyati khahishat per qabo pa liya.
• Giri hoi cheez ka bagher etla qabze mein kar lena, lotney ki manend hai.
• Namaz mein hazor qalib ki tadbeer yeh hai ke alfaaz ke maini par khayal rakhay.
• Dunya ko dunya ky kamon se talab kar or Allah ka naam Allah ke wastey le.
• Bad-khalqi se dushmani paida hoti hai or dushmani se jafa kari.
• Logo ki naikiyon ko zahir karna chahiye or buraiyon sy chasham poshi lazim hai.
Roman Urdu poetry
Roman Urdu poetry sms messages and Roman Urdu poetry text messages for your mobile phone. All Roman Urdu poetry sms messages collection on Roman Urdu poetry sms website on internet.
Jitna Shaffaf hay tera aanchal
September 20, 2010 Leave a comment
Koi mousam bhi hum ko raas nahin woh nahin hay tou kuch bhi paas nahin aik muddat say dil k paas hay woh aik muddat say dil udas nahin jub say daikha hay shaam aankhon mein tub say meray qayaim hawas nahin meray lehjay mein us ki khushbo hay us ki baaton mein meri baas nahin Jitna Shaffaf hay tera ...
Read More »
Mujhey koi kari si saza tou na do gay
September 20, 2010 Leave a comment
Agar mein bata don mein kia chahti hon nazron say apni gira tou na doo gay Jo mein chahti hon, woh tub bhi na chaho Mujhey koi kari si saza tou na do gay Mein mohabbaton mein jabar ki qayal nahin hon Dil laga ker mujh ko bhula to na doo gay Jo mein bata don meray mun main kia ...
Read More »
Hay afsos os ny mujhy 1 bar bolaya hota.
September 20, 2010 1 Comment
Kash banane wale ne mjhe kitab bnaya hota. Woh parhty parhty so jati mujhy seenay say lagaya hota, Main ous k gum main rota or rota he jata. Os nay chupky say mujhy senay say lgaya hota. Os ko dastaan suna suna k thak sa giya. Kash uss nay b mujhy hal-a-dil sunya hota. Main oss ka naam leta or ...
Read More »
Ik tum hi nahi meri judai mein pareshan,
September 20, 2010 4 Comments
Hum nazuk nazuk dil waley Kabhi hastey hain kabhi rotey hain Kabhi dil mein khwab parotey hain, Kabhi mehfil mehfil phirtey hain, Kabhi zaat mein gum ho jatey hain, Kabhi chup ki mohar sajatey hain, Kabhi geet labon par atey hain, Kabhi sab ka dil behlatey hain, Kabhi khud tanha ho jate hain, Kabhi shab bhar jagtey rehtey hain, Kabhi ...
Read More »
Barri Dil Nasheen Hai Yeh Adat Tumhari
September 20, 2010 Leave a comment
Miley Har Qadam PAy Rafaqat Tmhari Kahan Hum Kahan Yeh Inayat TUmhari Humein Chahiye Bas Taluq Tumhara Muhabbat Miley Ya Adawat Tumhari Kisi Se Bhi Milna, Usay Jeet Lena Barri Dil Nasheen Hai Yeh Adat Tumhari NA Dekha Jahan Mein Aur Koi Tumsa Barri Munfarid Hai Tabiyat Tumhari Humein Zindagi K Kathan Raston Mein Hemesha Rahay Gi Zarurat Tumhari…!!!
Read More »
lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main
September 20, 2010 Leave a comment
Kaise woh lot aye ke fursat usse nahin duniya samajh rahi hai mohabbat usse nahin. lagta hai aa chuki hai kami us ki chah main kafi dinon se mujh se shikayet usse nahin. dil ki zameen us ki hai banjar issi liye jazbon ki barishon ki jo aadat usse nahin. her cheez ikhtiar main rakhta hai woh magar dil se ...
Read More »
Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin
September 20, 2010 Leave a comment
Dil mein ab dard-e-mohabbat k siwa kuch bhi nahin zindagi meri ibadat k siwa kuch bhi nahin Mein teri baat bargah-e-naaz mein kia paish keron Meri jhooli mein mohabbat k siwa kuch bhi nahin Aey khuda mujh say na lay meray gunahon ka hisab Meray paas ashk-e-nidamat k siwa kuch bhi nahin Woh tou mit ker mujhey mil hi gayai ...
Read More »
Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf
September 20, 2010 Leave a comment
Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar Har pal har jagah nazar aane laga hai tu Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu Har pal mujhe hota hai bas tera hi “Ehsaas” ...
Read More »
Jo bas jata hai dharkan main ussey bhula nahin karte
September 20, 2010 Leave a comment
Safar tanha nahin karte Suno aesa nahin karte Chalo tum raz ho apna Tumhain afsha nahin karte Suno jis ka muqaddar ho ossey chora nahi karte Jisay shafaf rakhhna ho ussey maila nahin karte Jo bas jata hai dharkan main ussey bhula nahin karte Kisi ko dil dete waqt boht socha nahin kartey Jo pehlay sey tanha ho ussey tanha ...
Read More »
mujhay apna pyar na day saka
September 20, 2010 Leave a comment
Jo na mil saka wo baywafa yeh bare ajeeb si baat hai jo chala gaya mujhay chor kar wohi aaj tak mere saath hai… Wo roshni kay khayal main wo na asaka raah mian muntazir yeh khalish kahan thi visaal main mere justojoo ko khabar nahi na wo din rahay na wo raat rahay jo chala gaya mujhay chor kar ...
Read More »
Koi aik adh sapna ho to phir accha b lagta hai
September 20, 2010 Leave a comment
Kisi ki aankh se sapne chura kar kuch nahi milta Mandiron se chiragon ko bujha kar kuch nahi milta Koi aik adh sapna ho to phir accha b lagta hai Hazaron khwab ankhon mei saja kar kuch nahi milta Yeh accha hai ke aapas ke bharam na tootne payein Kabhi kabhi doston ko azma kar kuch nahi milta Amal ki ...
Read More »
Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein…
September 20, 2010 Leave a comment
Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Dar Lagta Hai… Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai… Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye… Zindagi Ab Teri Saughaat Se Dar Lagta Hai… Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo… Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai… Meri Khaatir Na Wo ...
Read More »
teri yaad main rehna tujhe hi sochte rehna
September 20, 2010 2 Comments
Bohat hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai woh tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai woh mera teri aankhon k samander main uttar jaana aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana teri awaaz k sehar se na nikal paana tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana bohat chaha in guzre hue lamhon ko ...
Read More »
khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya….
September 20, 2010 Leave a comment
Sab se chupa kar dard jo woh muskura diya… us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya…. lehje se uth raha tha har ik dard ka dhuaan… chehra bata raha tha k kuch ganwa diya… aawaz mein thayrao tha aankhoon mein nami thi… or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya… jane kya us ko logon ...
Read More »
mere tasauwur main tum aise kho jao gee,
September 20, 2010 Leave a comment
Kisi roz tum ko bhe meri bohot yaad aai gee, mager us din bohot daer ho jai gee , tum milna chaho gee mager mujh ko daikh na pao gee, tum dhoondo gee mujhe mager daikh na pao gee, tum tarpo gee meri yaad main or aansoo bahao gee. mujhe daikhe bina ik pal bhe na reh pao gee. meri ...
Read More »
Page 1 of 212 »
RECENT POSTS
Happy Children’s Day..!!
Facts About Children
Mery Dil Mein Dard
Teri yaad ka Roza
Kya Hua Sahib
FIND US ON FACEBOOK
ADVERTISEMENT
ROMAN URDU POETRY
Roman Urdu poetry sms messages and Roman Urdu poetry text messages with complete collection of Roman Urdu poetry sms for your friend, mother, father , wife, husband, teacher boy friend and girl friend. All love Roman Urdu poetry sms and poetry Roman Urdu poetry sms collection for free. send urdu Roman Urdu poetry sms messages in hindi and English. Send short Roman Urdu poetry sms text messages of 140 words. We have all new Roman Urdu poetry sms and latest Roman Urdu poetry sms text messages jokes in Pakistan , India and around the world. All best romantic Roman Urdu poetry quotes sms for greetings pic msg and sad Roman Urdu poetry quotations to wish Roman Urdu poetry mms.Send Roman Urdu poetry quotes to your cousins and boss. Share these famous and funny Roman Urdu poetry picture sms msgs to your brothers and sisters in Roman Urdu. Now send naughty and decent Roman Urdu poetry sms to urdu shairy.
ABOUT US
Send these 140 words sms Messages to your friend, boss, secretary, brother, sister, cousin, aunty, father, mother, wife, teacher, lover, girl friend, boy friend, sir, miss, spouse, family and to everyone you like. These best sms ideas / msgs are a collection for your loved ones in Pakistan and India at 12 AM mid night. Search sms in Urdu, Hindi, English, Punjabi, Bengali ,Pashto, Sindhi and Roman Urdu. All sms msgs or text phrases are latest, cute, sweet, naughty, funny and romantic. Paperpk is proving latest / best new sms txt messages from 2009 , now its 2014 and we will continue to update
Urdu Quotes In English Images About Life For Facebook On Love On Friendship On Education Pics
Urdu Quotes In English Images About Life For Facebook On Love On Friendship On Education Pics
Urdu Quotes In English Images About Life For Facebook On Love On Friendship On Education Pics
Urdu Quotes In English Images About Life For Facebook On Love On Friendship On Education Pics
Urdu Quotes In English Images About Life For Facebook On Love On Friendship On Education Pics
Urdu Quotes In English Images About Life For Facebook On Love On Friendship On Education Pics
Urdu Quotes In English Images About Life For Facebook On Love On Friendship On Education Pics
Urdu Quotes In English Images About Life For Facebook On Love On Friendship On Education Pics
Urdu Quotes In English Images About Life For Facebook On Love On Friendship On Education Pics
Urdu Quotes In English Images About Life For Facebook On Love On Friendship On Education Pics
Urdu Quotes In English Images About Life For Facebook On Love On Friendship On Education Pics
No comments:
Post a Comment